Sehar e Roshni (Episode 5)
written by sirraha…
Aaj uska pehla exam tha , abhi exam shuru hone me adha ghanta baaki tha to vo apni seat pe bethi revision kar rhi thi tabhi us apne pass kisi ke hone ka ehsas hua , usne sar nhi uthaya.vo janti thi ki samne khada shaqs kon he.
“Sehar , yr sun meri baat mene ye sab tere liye kiya tu kese hamari 8 saal purani dosti yu tod sakti he , tu meri side ki story bhi to dekh, mene kuch galat nhi kiya mene tujhe bachaya, sehar tujhe meri jarurat he tujhe kya lagta he danial ab yuhi betha rahega , vo badla lega pehle se bhi jyada khatarnak badla, tujhe meri jarurat he mere saath reh.” Rahila chup hui to sehar boli” mujhe teri jarurat he accha , rahila mujhe laga tha ki tu maafi mangegi tujhe apni galti ka ehsas hoga magar tu nhi badli, tu ab bhi apna soch rhi he.
Aur vo danial kya karlega mera pehle hi vo mujhe tod chuka he lekin usse jyada dard mujhe tune diya he , to isiliye ab mujhe kisi ki jarurat nhi he , it will be better for us to part our ways for forever.”.
Ab ke sehar vhan se uth ke jane lagi vo gate tak aayi hi thi ke piche se rahila ki aawaz aayi.
“Vo tujhe barbad kardega sehar , vo tujhe nhi chodhega, tujhe meri jarurat he , tu bhale aaj mujhse naraz hoja lekin dekhna tu kal ko mere pass jarur aayegi aur mein….tujhe apna lungi.”.
Sehar kuch nhi boli bas vha se chali gyi.
Us din ke baad se usne rahila ko ignore kiya tha ,na hi rahila uske pass ayi. Danial ke boards the to uski shakl sehar ko dekhne nhi milti thi.
Sehar bahar se bohot majbut thi magar andar se vo tut chuki thi , uski life ke sare traumas ne use ek saath hit kiya tha.
Raheel ka aana , use room me lock karna , use uski mohabbat se dhoka milna, dost ka dhoka de dena. Sab use andar hi andar kha rha tha.
Sehar ka Claustrophobia abhi last stage pe nhi tha isiliye usne 1 ghanta room me kese bhi karke nikal liya tha.lekin raheel wala trauma use kai baar rate ko jaga deta he .
Aaj raat bhi yhi hua. Abhi raat ke 3 baj rhe the jab sehar ek dam se uthi. Uske mathe pe paseena tha aur sans phol rhi thi.
Waqai ye ek bura khwab tha , lekin ye sirf ek khwab nhi tha ye ek haqiqat thi. Sehar ki zindagi ka maazi tha sabse bura maazi.
In past.
Ye unka games period tha aur vo playground me rahila ke sath ghum rhi thi.
Tabhi koi saamne se aata hua usse takra gya. “Sorry” sehar boli.
“Tum jesi ladkiyon ko bas bahane chaiye hote he ham jese ladko ki attention pane ka ” samne khade shaqs ne kaha to sehar bole bina na reh saki” how dare you , tumne apne aapko smajh kya rakha he raheel , tumhari jurrat kese hui ye bolne ki me tumhe chodhongi nhi “.
“Kyun kar logi tum hn batao na kya kar logi” vo uski taraf badta hua bolrha tha. Aur shayd usne uske kandho se dhakela bhi tha, aur bas tabhi pure playground me ek awaz aayi .thappad ki.
Sabke muh khule reh gye , raheel ka muh ek tarf jhuk gya tha.
” me tujhe chodhungi nhi” usne aage aana chaha lekin rahila sehar ko khando se pakad ke vhan se le gyi.
Piche raheel ghusse bhari nazro se use ghurta reh gya.
Vo abhi washroom me thi ki tabhi use apne piche kisi ke hone ka ehsas hua . Usne jab apne samne shishe me dekha to piche raheel tha use dekhkar vo chonk ke piche mudi.
“Tu…tumm yha kya kar rhe ho ye girls washroom he raheel jao yhan se.” Usne bolne ki koshish ki
“Kyun kya hua ” raheel bola uski ankhon me hawas saaf zahir thi.
“Dekho me shor macha dungi , jaao yahan se , tumhare liye accha nhi hoga . Jaao yha se agar tum nhi ja rhe to mujhe jane do ” vo uske bagal se nikal ke jane lagi tabhi usne uska hath pakad ke use diwar se laga diya..
“Itni bhi kya jaldi he abhi playground wale thappad ka badla to lene do. Vhan to badi sherni bani fir rhi thi ab kyun chuhiya ban gyi.” Usne hanste hue kaha.
“Chodho mujhe , ” sehar ne khud ko chudhane ki koshish ki.
” accha chalo me tumhe maaf kardunga lekin meri ek shart he , you have to be my girlfriend “. Usne ajeeb si muskurahat ke sath bola.
“Tumhara dimag theek he , dekho me aakhri baar keh rhi hu mujhe jane do warna me chilla dungi aur tumhare liye accha nhi hoga”.sehar ne use dhamki di . Sehar ne jhatke se uska hath apne hath se hataya.
“Tch tch.. tum ab bhi nhi saamjhii me kya keh rha hu , dekho ya to meri girlfriend bano ya fir meri saza jhelo , kyunki me maaf nhi karta.”vo ye kehke uske mazeed karib aarha tha.
Isse pehle ki vo kuch karta sehar ne ek jordar thappad uske muh pe maar diya.
“Apni had me raho aur mujhe jano do ” usne raheel ko dhakka dekar khud se dur kiya aur gate ki tarf jane kagi. Abhi uska haath gate pe tha hi ki tabhi raheel ne use balo se pakad ke piche ko khincha.” Teri itni jurrat tune mujhe aaj aaj me 2 thappad maar diye itni himmat to aaj tak school ke teachers ki nhi hui aur tuuu” usne ye kehte hue sehar ke muh pe do thappad mar diya.
Usne itni tez mara tha ke sehar jhatke se niche ja giri. Uske baal bhiker gye .aur gaalo pe ungliyon ke nishan saaf dikh rhe the.
“Dekho raheel mujhe jane doo pls khuda ka wasta he mujhe jane do” abke vo uski minnat kar rahi thi magar raheel pe to koi asar hi na hua ho.
Abhi vo uske pass ata ki tabhi sehar ko apne bagal me rakhi ek bhari chiz dikhi.
Usne usi se raheel pe war kardiya . Usne war esi jagah kiya taki vo mare na bas behosh ho jaye.
Raheel awaz se niche floor pe gir gya sehar kese na kese karke vhan se bhag nikli .
Uske baad usne principal ko bataya cctv footage me vo girls washroom me jata dikhayi diya tha aur sehar dari sehmi se bhagke nikalti.
Sehar ek majbut ladki thi isiliye usne ye kadam uthaya warna uski jagah koi aur hoti to jarur 1 mahine tak trauma me rehti.
Aaj bhi yhi khwab use aaya tha . Vo dari hui si bethi rhi tabhi uske bagal me soti hidu uth gyi.
“Appi kya hua aap ko itne paseene kyun aarhe he , jabhki mujhe to thandh lag rhi he.” Hida apni neend bhari aawaz me bolii.
“Nhi betu kuch nhi hua so jaao ” aur fir usne use sula diya.
Aaj uska last exam tha . In sare dino me sehar school ati exam deti aur bina kisi se baat kare chali jaati.
Aaj jab vo aayi to use kuch ajeeb sa laga , sabki nazre uspe tiki hui thi aate jate sabh use dekhke baate karte vo smajh nhi pa rhi thin ki kya hua.
Tabhi rahila uske pass ayi uske chere pe pareshani jhalak rhi thi” mene kaha tha tujhse danial kuch jarur karega jaa notice board dekh”.
Uski baat sun sehar tez dhadakte dil ke saath bhari bhari kadam utha ti notice board ke aage phonchi aur bass sab khatam hogya.
Samne uski aur danial ke chats ki print thi, uspe time ko jyada highlight kar rakha tha. Raat ke 1 bje, subeh ke 5 baje .
Lekin ye nhi tha jisse sehar ka dil thama vo uski aur danial ki tasweere thi, kisi me vo park me milte , kisi me haath pakad ke chalte , to ek me gale milte hue ( vo rooftop wali ).
Aaj us photo ko dekhkar use itna pachtawa horha tha jiski had nhi thi uska bas nhi chal rha tha warna vo danial ko mar deti ya kam se kam khud ko.
Usne un photo ko khinch ke fad diya . Lekin isse kya hota.
” ye kitni sidhi lagti thi ” “bhole chero ke piche dekho kitni shatir ladki nikli ” mujhe to pehle se hi shaq tha “. Ese ese tanziya lehzo me bole jane wali baate jo uske kaano me phigalte lohe ki manid pad rhi thi.
Use laga ki ab vo kabhi kisi ko apna muh nhi dikha sakegi.
Tabhi bell baji aur sab apne classes me exam dene jane lage, sehar ka man kar rha tha apne ghar bhag jaaye. Ek min uske gharwalo ko agar pta lag gya to.. nhi nhi esa nahii hoga aur hoga bhi to uske parents uska yakeen karenge hn vo to jarur karenge.
Isi soch ke sath vo bhi exam dene beth gyi, vhi janti thi ki kese usne 3 ghante guzare un logo ke bich , uska paper me bilkul dhyan nhi tha magar kese bhi usne use pura kar diya, use bas vha se bhagna tha , ye tey tha ki aaj ke baad vo in logo ko kabhi shakl nhi dikha sakegi.
Vo kese na k ese karke ghar aayi . Uske ghar to sakun tha use to vhi aake sukoon milta tha.
Abhi usne ghar me kadam rakha hi tha kii ..
To be continue.
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Ut elit tellus, luctus nec ullamcorper mattis, pulvinar dapibus leo.

2 Comments
Your novels are too amazing….next ep plss❤️
I jst loved your novels….. Next ep plsss 🤌🏻