Sehar e roshni

Sehar e Roshni written by sirraha ep 6

Sehar e Roshni (episode 6)

written by sirraha….

Ghar me dhakhil hote hi uski nazar samne khade uske parivar pe gyi . Aaj kuch tha jo hamesha ki tarah nhi tha, kisi ke chere pe muskurahat nhi thi. Uske dil me khof badhne laga.

Abhi vo majeed aage aati ki tabhi uske kano me uski chachi ki aawaz padi.

“Lo aagai sahabzaadi , hamari izzat mitti me milake , mene to pehle hi kaha tha mujhe iske hav bhav theek nhi lagte lekin meri kisi ne suni hi nhi lo ab dekhlo apni laparwahi ka nateeza ab meri sani” bassss bhabhi bohot hua, bohot keh liya aapne , ab me mazeed kuch aur nhi sunna chahta , meri beti pe mujhe pura yakeen he” ferwa ki baat ko bich me kaatte hue zahid sahab ki tez aawaz pure living area me ghunji .

Ferwa chup hogyi lekin chere ki muskan barkrar rhi.

“Sehar beta yhan aao”abke unhone sehar ko paas bulaya jo abhi tak gate pe but(statue ) bani khadi thi.apne papa ke bulane pe chote chote kadmo se unke pass aayi. Vo to uski bato pe yakeem karte the aaj bhi karenge.

“Beta ye video dekho aur batao kya ye shi he , beta jhuth mat bolna.mujhe tumpe pura yakeen he “.

Sehar ke aage phone karte hue unhone kaha , video dekhte hi sehar sans nhi le saki “yehh yehh video kaha se aayi” vo bas man me hi keh saki ,

ye us raat ki video thi jab danial sehar ki tarf se jawab na pake uske ghar ke bahar proposal board lekar khada hogya tha video samne se banayi gyi thi jisse saf zahir horha tha ki khidhki pe sehar khadi he aur phone pe kuch type kar rhi he fir vo ladka bhi phone pe kuch karta he , isse saaf zahir tha ki vo dono apas me baate kar rhe he .

Sehar ab bhi kuch na boli , uski ankhen bhigh chuki thi , allah vo kaha fas gyi thi.

“Papa dekhen me” “beta mujhe batao kya ye shi he ya nhii ” abke unki awaz todhi sakt hui.

“Papa mein” ..

“haan ya naa”.

“Hn ye sacchi he ” use pta tha jhuth bolne ka koi fayda nhi uske jhuth bolne se ek video jhuth layi jaegi , unke pass bohot si he.

Aur bass tabhi pure hall me thappad ki awaaz ghunji.

Sabke muh khule reh gye siwaye ek shaqs ke , yhan tak ki farwa tak shock me reh gyi , sehar ka to mano dil hi tham gya ho. Usne aankhen uthke apne baap ko dekhne ki koshish ki aur vo nakam hui.

16 sal me ye pehli baar tha jab zahid sahab ne uspe haath uthaya tha , hath to dur ki baat kabhii usse unhone unchi aawaz me baat tak nhi ki thi .

“Ise le jao zahira yhan se aur keh dena aainda mere samne apni shakl na lekar aaye. ” unki aawaz sakht thi magar andar se unka maan tuta tha.

“Papa… meri baat”” nhi hu me tumhara baap , meri sirf ek hi beti he nhi lagti tum meri kuch bhi .”. Usne ummid se sabki taraf dekha uske chacha , uski mummy , sabne ankhen niche karlii . Allah ye kya hua ye sab to use support karte the na !

Aur bas sehar ki had khtam ho gyi thi. Vo bhagti hui upar apne kamre me gyi aur darwaza band karke usi ke tek lagake beth gyi.

Todhi der vo bethi rhi yunhi bina kisi emotion ke , fir achanak hi uski aankhon se aansun bahne lage aur fir vo ruke nhii , vo roti gyi roti gyi. Use smajh hi nhi aarha tha kya hua , vo kis baat pe roye , is baat pe ki mohabbat ne dhoka diya ,ya is baat pe ki bestfriend ne dagabazi ki, ya is baat pe ki family ne saath chodh diya.

Allah allah meri kya galti thi ki mene unpe yakeen kiya . Hn allah mene galti kii lekinnn sari galti meri to nhi thi , papa mujhpe itna yakeen karte the , unhone meri hn na puchi kash mujhse wajah bhi puch lete , allah…..Vo nhi janati vo kab tak royi aur kab usi darwaze ke tek lagate hue so gyi . Uski ankh kisi ke use jagane pe khuli.

“Appi ka hua aap yhan kyun so rhe hoo ” ye uski choti billi thi .

Sehar ne use dekhte hi use khud se laga liya . Hn uske pass abhi ek shaqs he jise vo sabse jyada pyar karti he .Lekin vo kaha se aayi , usne piche mud ke dekha darwaza abhi bhi band tha ,

“Kya hua appi ye sochre ho ki me kaha se aayi ” sehar ke use confusion se dekhte usne apni masum awaz me pucha.

Hida 6 sal ki thi lekin apni umar ki ladkiyon se zyada zaheen thi.vo bate jaldi samjh leti thi.Hn tum to yha nhi thii” sehar ne usse pucha .

“Appi meto school se aake sogyi thi yhi bed par hi to thi, apko nhi dikhi”.usne masumi se pucha.

“Nhi” sehar ne nafi me sar hilaya ‘ ab vo use kya batati ki vo itne sadme me thi ki use apne aas pass ka bhi hosh nhi tha ‘.

“Appi ham park chale” hida ne pucha Abhi vo kuch bolti usse pehle darwaze pe dastak hui . Hida ne jakar darwaza khola to unki ammi andar aayi.”Hida beta aapki friend mili aayi he aap jao uske sath khelo” unhone aakar hida se kaha.

“Accha mili aayi he ” hida chehak ke boli.

“Lekin mumma me aur appi park jarhe he aap ek kaam karo mili se kehdo vhi aajaye”

“Nhi beta appi ko abhi kuch kaam he aap jao khelo”

“Appi me jaun ” sehar ki tarf dekhkar usne pucha to sehar ne ishare se izazat di.

Uske jate hi zahira begum ne gate lock kar diya.

Sehar ab bhi unki tarf ummid bhari nazro se dekh rhi thi.

“Ammi aap to sune” usne kehna chaha lekin zahira begum ne uski baat kat di .”sehar apna saman pack karlo tum ammi ke yhan jarhi ho”.

“Waqaiii” sehar khushi se boli , pure din bhar ke dukho ke baad ye news uske liye malham jesi thi.

“Lekin ek min me ja rhi hun , kya aap log nhi chal rhe ” usne abke ruk ke pucha .”Nhi bas tum ja rhi ho”. “Kya aap log mujhe khud se dur bhej rhe he ” abke usne shock se pucha.

“Hn aur yhi behtar he , tumne hamara man toda he sehar aur ab tumahare papa tumhe dekhna nhi chahte . Vo tumhe baar baar dekhenge to unke dil pe boj padega. Aur tumhare liye bhi behtar he kyunki yhan rehte hue tumhe unki berukhi khaegii. Beta tumne galti ki he lekin me tumhari maa hu me janti hun ki tali ek hath se nhi bajti , lekin beta ye zamana ladki ko jiine nhi deta chahe galti ladke ki ho use sab nazarandaz kardete he ladki ko jine nhi dete beta.” Unhone use smjhaya.”Ammi aap papa ko samjhaye na vese. Bhi vo mujhe 12th ke baad abroed bhej denge kam se kam abhi to apne pass rehne de ammi papa mujhpe itna yekeen karte he aap unse ek baar kehe na meri baat sunle .” Vo rote hue apni maa se keh rhi thi.ya shayd minnat kar rhi thi.

“Ammi ye 3 mahine mere liye 3 teen saal ban jaenge,”.

“Tumse kisne kaha tum 3 mahine ke liye jaa rhi ho ” zahira begum ne usse bola to sehar ruk gyi

“Kya matlab hamari chuttiyan 3 mahine ki hi hoti hena.” Usne bamushkil kaha.”Beta tum vhan chuttiyon ke liye nhi jaarhi aage ki padhai ke liye jaa rhi ho , tum 12th vhi se karogi , aur fir tumhare papa tay karenge ki aage tumhe abroad jana he ya vhi pe padhogi.Beta tum shukr manao tumhare papa tumhari padhai nhi rok rhe . Lekin me unse baat karungi aur tumhe jaldi hi bulane ki koshish karungi.” Unhone usse pyar se kaha .

“Ammi mujhe bahar padhne jana tha lekin is tarah nhii ” usne unka haath pakd ke kaha.

“Ammi hiddu mere bina kese rahegi me uske bina kese rahungi.” Hida ke khyal pe vo ek rote hue boli.

“Rehna padega beta rehna padega. Tum yhan rahogi to tumhari chachi tumhe jine nhi degi , tumhare baap ko unki baate andar se khokhla kardengi.””Ammi me kya karun ammi ” .

“Ammi me kya karun ammi ” .

“Kyun kiya sehar kyun , tumhari chachi ki sari bate ham log nazar andaz karte aaye he lekin ab jab vo hame taunt maregi to ham kya krenge. Beta hamare liye aasan nhi he tumhe khudhse dur karna , tum hamari pehli aulad ho , hame bohot pyari ho lekin ye jaruri he , ” abke zahira khud bhi ro rhi thi.” Beta tere mamu ke abroad shift hone ke baad ammi akeli rehti he ab tu unka sahara banegi, beta esi galti dobara na karna jisse hamara sar majeed niche jhuk jaye, aur sehar mujhse wada kar ki tu apna mustakbil khud sanwaregi.Tu jab is ghar me lout ke aayegi to khud ko badal ke aayegi.

Beta teri maa ki duaen hamesha tere sath he aur beta allah se mafi manglena, vo maaf kardega to sab aasan hojayega , aur vo maaf kardeta he ,” ab ke vo dono ro rhi thi.

Me wada karti hu ammi jis jis ne mujhe aaplogo ki nazro me giraya hena unhe me chodhungi nhii,”.

“Accha tu ab bag pack karle kal subeh ki train he ” unhone ansun pohchte hue kaha.

Unke waha se jane ke baad sehar whi farsh pe beth gyi.

‘Kese sab kuch ek pal me bikhar gya , use to is ghar me sakun milta tha lekin aaj nhi mil rha tha aur shyd ab kabhi nhi milege.’

Abhi vo packing kar rhi thi ki tabhi gate khula, andar saniya dakhil hui. Sehar ne apna kaam zari rakha.

“Hello cousin kesi ho , khi jane ki taiyari ho rhi he oh accha meri zindagi se “.

Usne kehna shuru kiya.

Sehar kuch nhi boli. Vo janti thi ki in maa betiyon me se hi kisi ka kaam he vo video recorded karke uske gharwalo ko dikhane ka .

“Tumhe pta he aaj jo thappad tumahre gaal pe pada na uska mene barso se intezar kiya tha . Kash me record kar pati yrr.

Lekin tumhe pta he us manzar ko dekhne me jo sakun tha na aaye haye kya hi baat thi.” Ab vo uske bed pe per pe per jamaye bethgyi.

Tumhe pta he do saal ki thi me jab tum aayi , me khush thi ki mere sath khelne ke liye koi aagya he , lekin tumne to aate hi mera haq marna shuru kar diya, tumhare aane se pehle , papa mummy , dadu dadi , bade papa badi mumma sabka pyar mujhe milta , lekin tumhare aate hi sab ki attention tumhe milne lagi. Jab tum char sal ki thi tab dadu ka inteqal hogya tum ladli thi unkii , sehar ke aane ke baad saniya to sabko dikhna hi band hogyi. Dadi ke pass unki akhri nishani ek chini vase tha mene use tod diya aur tumhara naam lagadiya, mujhe laga ab sab tumko dantege lekin esa nhi hua dadi bhi tumse naraz nhi hui kyu kyunki tum dadu ki ladli thi .

Fir jab tum 8 sal ki thi mene tumhe sidiyon pe se pe dhakka de diya , ye soch ke ki ab tum chali jaogi meri zindagi se , magar tum bach gyi , aur tumhari vajh se mere papa ne mujhpe haath uthaya . Us din mere dil me tumhare liye nafrat aur bad gyi. Jab tum 10 saal ki thi tumhe teacher ne ek project diya tha tumne puri raat use beth ke banaya lekin jab subeh uthi to dekha ki uspe to pani faila hua he pta he vo pani mene failaya tha is ummid se ki teacher tumhe punish karegi magar unhone tumhe ek din ki mohlat aur dedi kyun kyunki tum unki favourite thi. Tumne hamesha mujhe nicha dikhaya tum class me hamesha top karti tumhare liye sab celebrate karte me nhi kar pati thi lekin mujhe koi dilasa nhi deta tha , akhir he kya tumme jo sab tumhe pasand karte he bas Uske baad ese kitne hi mouke aaye jab mene tumhe harana chaha lekin tum har baar jeet jati lekin , us raat mere hath tumhari kamzori lag gyi , aur tumhe pta he vo kaam kargyii.” Vo normally use sab ese bta rhi thi jese use koi fairytale suna rhi ho.

Lekin ek mje ki baat bataun mere pass use bhi jyada kuch he usne ye kehke apne phone ki screen sehar ke samne kiya , sehar ne jab screen pe dekha to uske pero tale zameen khisak gyi , samne uski photo thi jisme raat ke wakt vo danial se baat kar rhi thi ye photo darwaze se li thi isiliye usme saaf dikh rha tha ki sehar kisi se chats pe baat kar rhi he, khi par uske aur danial ki park photo aur bhi bohot si photo thi.

“Tumhe ye sab kaha se mili”. Usne pucha to saniya hansne lagi.

“Vo me tumhe kyun bataun,”. Accha kher ab to tum jaa rhi ho right, accha he warna abhi to mene bohot kuch karna tha lekin kher ek hi war se tum ghayal hogyi , isse jyada kya chaiye. Lekin hn pls yrr 4-5 saal tak apni shakl mat dikhana.

By by cousin” vo bolte hue uthi aur gate ki taraf badh gyi.

“Vese mene suna he school me bhi achhi khasi viral hui ho tum , aur hn sehar mujhe nhi pta apni jindagi me tum villan kisko manti ho lekin tumhaari kahani ki villan me hu so tumhe chaiye ki mujhse khof khao.”

Aur fir vo chali gyi piche bethi sehar ne socha ‘ kash me ise bta pati meri jindagi me isse bhi bade masail he “.

Saniya use ye sab ye sochke batane aayi thi ki sehar nhi janti lekin use sab pta tha vo janti thi saniya ne use niche girane ki koi kami nhi chodhi thi . Kher ab uske liye yhan se jana hi behtar tha.Usne apna sab samna pack kiya , kaha vo chuttiyon ke ĺiye jana chahti thi kaha vo shyd hamesha ke liye ja rhi thi.Vo kamre ke bahar nhi nikli thii khana bhi uski maa room me hi le ayi thi . Hida jab se hi uske karme me bethi use packing karte dekh rhi thi .

“Appi kaha ja rhe ho” usne ye sawal koi 100 baar pucha tha.

” betu me nani ke ja rhi hu aapko itni baar bataya to ” usne bhi use yhi jawab 100 baar diya tha.

“Fir meri packing kyun nhi karte, appi mena apna new pink rabbit wala bag bhi le kar jaungi” usne khushi se bola.”Nhi ” aap nhi jaa rhe sirf me jaa rhi hu” usne dukhi man se kaha.

“Appi ese kese , aap aur mumma mujhe akele chodh ke jaenge” abke uski ankhon me aansun aagye.

“Nhi naa yr sirf me ja rhi hu sirf me tum ya mummy nhii ” abke usne ukta ke bola.

“Aap kyun ja rhi he me aapke bina kese rahungi appi mujhe to aapke bager nind bhi nhi aati me apni bate kise bataya karungi.” Uspe to mano kisi ne bomb phod diya ho.

“Betu mujhe nhi pta me kab tak aaungi lekin mujhe jana padega “

“nhi appi pls mat jao me papa se kehti huna vo rok lenge aapkon” sehar ka dil cha rha tha ki vo khud ko maar le.

Uski ek galti ne kitno ke dil tode the.”Mere pass ao “- usne apne hath badakar use apne pass bulaya. Aur uske samne ghutno ke bal beth gyi.Usne uske haath tham kar kehna shuru kiya ” hiddu aapko pta he aap meri jaan ho , me aapse bohot mohabbat karti hu aur me bhi aapke bina nhi reh sakti lekin kuch chize jaruri hoti hena. Mujhe nhi pta me wapas kab aaungi , ho skata he 1 saal 2 saal ya shayd 10 saal , lekin me aapse baate karti rahungi na call pe , aur fir aap mujhe sab bataya karna okay.

Hida ne ser asbat me hilaya. Un dono ki ankhen nam thi.

Usne kehna zari rakha.

” ab aap mujhse ek wada karo ki aap kabhi mumma papa ko pareshan nhi karoge, acche bacche banke rahoge , appi se kabhi koi baat nhi chupaoge , aur kabhi koi pareshan kare to daroge nhi , “

“Appi me promise karti hu me strong aur good girl banke rahungi lekin appi aap bhi wada kre mujhse milne jaldi aaoge”

Abke vo che saal ki bacchi samjh gyi thi ki uski bhen kisi summer vaccation ke liye nhi jarhi.

“Hn me wada karti hu mujhe jab mouka mila me jarur aauEse hi vo dono kab tak ek dusre ke samne rote rhe .

Subeh ke sade 4 baj rhe the jab vo ghar se nikalne ke liye taiyar thi. Akhri baar apne kamre ko dekhti vo bahar aagyi , bahar sab khade the , koi use dhukhi nazro se dekhta to koi khushi bhari nazro se.

“Ammi ek baar to papa ko bulale , unhone mere liye gate bhi nhi khola . Alvida kehne hi aajaye mujhe.””Beta mene bohot kaha lekin vo nhi mane” zahira ne kaha.

Usne akhri baar apne ghar ko dekha . Usne kabhi nhi socha tha ki vo ese jaegi.

Vo jane ke liye mudi fir ruk kar piche dekha use laga ki uske papa use piche se awaz denge . Tabhi use kuch yaad aya koi maaji ka lamha.

“Papa mujhe nani ke jane dena , mujhe unki yaad arhi he ” 8 saal ki sehar apne papa se keh rhi thi.

“Nahi aap mujhe chodh ke nhi jaogi , mera man nhi lagta aapke bina”uske papa ne nafi me ser hilate bola.

“Nahi mujhe jana he me jaungi ” usne abke sine me haath bandh ke bola.

“Accha to theek he lekin me aapko alvida kehne nhi aaunga” unhone bhi vese hi bazu sine pe bandh ke bola.

“Dekhte he ” sehar ne challenging nazaro se dekh ke bola.

Agle din jab vo aur zahira begum ghar se nikal rhi thi to vo nhi aaye ,”sehar chalo beta kal tumne apne papa ko gussa kardiya ab vo nhi aayenge vo apni zaban ke pakke he ” zahira begum jo uske kehne pe 10 min se ruki hui thi ab ukta ke boli.

“Nhi mumma vo aaenge ” usne guarantee ke sath kaha.

Aur jese hi vo jane lage piche se aawaz aayi ” zahid apni zaban ka pakka he lekin apni beti ke mamle me nhi ” ye uske papa the jo piche se aarhe the.

” mene kaha tha na papa aaenge” sehar itni khushi se boli jese koi lottery jit li ho.

Aaj bhi use laga ki vo aange lakin jab use koi aawaz nhi aayi to bhari dil ke sath vo aage badh gyi.

Aaj vo yhan se akeli nhi ja rhi thi vo na jane kitne logo ka bhoj sath le kar ja rhi thi.

Kash ke vo dekh leti khidki pe koi khada tha nam aankhon ke sath.

To be continue.

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Ut elit tellus, luctus nec ullamcorper mattis, pulvinar dapibus leo.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *