Sehar e Roshni (episode 8)
written by sirraha
Pichle 10 min se samne se bas rone ki aawaz aarhi thi.
“Hidu beta kya hua he ye to batao aap ro kyun rhe ho ” sehar baar baar bas ek hi baat puch rhi thi.
Appi…appi vo….. ” vo sisak sisak ke ro rhi thi vo is tarh kabhi nhi royi thi sehar ka dil betha jarha tha.
“Hida mujhe batao mummy ne kuch bola ya school me kisi ne kuch kaha.”
“Appi unhone mara.., appii vo bohot gandi he bohot bohot jyada.”
“Hida mujhe batao mummy ne kuch bola ya school me kisi ne kuch kaha.” “Appi unhone mara.., appii vo bohot gandi he bohot bohot jyada.”
“Kon ne mara mumma ne ” .”nhi appi nhii”.
Aur ab sehar waqai tension me padh gyi thi agar zahira ne kuch nhi kaha to aur kis ki himmat hogyi hida se kuch bolne ki.
“Hida mujhe batao kisne mara, kya aapne mujhse promise nhi kiya tha ki strong girl banke rahogi ,strong girls esi to nhi hoti”.
“Sani baji… appi sani baji ne mara ” usne abke apne aansun phochte hue kaha .
“Saniya ne ” sehar ne shock se pucha. Saniya chahe sehar ke saath kitni bhi buri thi magar usne hida se kabhi kuch nhi kaha tha .
“Usne kyu mara “.
“Appi vo , vo keh rhi thi ki.” Usne aansun puch liye the magar ab bhi awaz me siskiya saf thi.
“Hida mujhe puri baat batao bina ruke.
” Abke usne todhi sakti se kaha.
“Appi vo keh rhi thi ki tumhari bhen bohot buri he jhutti he , usne tumhare papa ko hurt kiya isiliye unhone use dur bhej diya”.
“Usne ye sab kaha ” is wakt sehar ko itna gussa aarha tha ki agar saniya samne hoti to abhi tak vo zameen me 6foot niche hoti.
“Appi mene kaha ki aap jhuth bolti ho meri bhen esi nhi he vo kabhi mere papa ko hurt nhi kar sakti” aur is jagah sehar ka dil kata tha. Kese batati vo us nanhi jaan ko ki usne hurt kiya he unke papa ko .
“Fir”.. “fir appi unhone aapko voh kaha , vo kya kehte he use”
Usne apke confusion se pucha ” kya “.
“Are appi vo na , hn aapko yaad he ek baar ham ek movie dekh rhe the usme ek bhaiya ne ek didi ko voh kaha tha na jisse didi bohot royi thi. Fir jab mene use repeat kiya tha to aapne mujhe kitna danta tha , ki dobara na bolun”.
“Character less ” sehar ke muh se beikhteyar nikla.
“Hn appi yhi cuctus. Cuctuss less yhin kaha tha unhone. ” agar aam halat hote to abhi sehar is 7 saal ki bacchi ki baat pe khub hasti ( isi mahine hida 7 saal ki hogyi thi).
” Fir”.
” Appi aapne mujhe bolne se mana kiya tha isiliye mujhe laga ki ye ek bad word he to mene unse keh diya ki sani baji aap hi hongi jo bhi aap bol rhi he meri bhen esi nhi he , aur is. Baat pe unhone mujhe thappad maar diya.” Akhir me uski aawaz ruhansi hogyi.
“Mene aapse mana kiya tha na ye word bolne ko” ..
“but api vo apko galat bol rhi thi” .
“Hida ham kon he “
” ham musalman he “(uski jagah koi aur hota to jarur insan ya kuch aur kehta magar vo hida thi,apni umar se bade jawab dene wali).
“Aur musalman kese hote he”
“musalman allah ke farmabardar hote he , vo hamare pyare nabi (SAW). Ki sunnato pe chalte he .”
“Aur musalman kese hote he pta he , vo kisi ko gali nhi dete , galat nhi bolte vo sabr karte he “..
” magar appi agar koi hame samne se gali de to fir bhi nhi bolte ?” Hida ne pucha.
“Nhi to bhi nhi dete , aapko pta he jab tayef walo ne app rasullah( SAW) pe patthar barsaye the , to aap lahuluhan hogye the magar unhone unhe baddua nhi di gali nhi di .
Unhone unke liye dua ki “. Sehar ne narmi se samjhaya.
“Acchaa appi i am sorry ab me kabhi nhi bolungi kisi ko galat , chahe se vo mujhse aage se kuch bhi bole me sabr kar lungi”.
“Thats like my girl” sehar ne muskura ke bola.
“But appi thappad tez mara tha, aur dhamki bhi di thi kin kisi ko bataya to bohot bura pesh aaungi”. Hida ne use bhuli baat firse yaad dilayi..
“Tension mat lo is thappad ka badla to me lungi isse and i promise you that.” Usne kuch sochte hue kaha.Vo saniya se kabhi badle ki nhi soch sakti thi magar ab jo vo uski bhen ko nuksan pohcha rhi hi , ab vo use nhi chodhegi.
Ab use ye jagah sakun nhi de rhi thi , kese deti dimag me to kuch aur hi chal rha tha.vo ghar aagyi.
‘Is waqiye ke teen din baad’
Sehar apni balcony me bethi sunset dekh rhi thi, in dino vo beach pe jati rehti thi , lekin aaj uski tabiyat todhi theek nhi thi.
Vo bethi us video ke bare me soch rhi ,
“akhir vo video banayi kisne , kyunki vo ghar se banayi hui nhi thi yani saniya ne vo video record nhi ki ye koi aur he jisne saniya ko vo video bheji . Lekin kon ho sakta , lekin ho skata he ki danial hi ke saath aye kisi shqs na banayi ho lekin vo saniya ko kyun bhejega. Ek minn rahila uske pass saniya ke number he hn vohi kar sakti he ,
allah ye ladki itna kese gir gyi”. tabhi uska phone baja.’Unknown number calling’
“ye kon he mene to kisi ko apne number bhi nhi diye the “. Usne khudse kaha magar fir phone utha liya.
“Hello ” .
‘Khamoshi.’
“Helloo kon”
‘Khamoshi’.
“I think koi wrong number he “
usne ye kehke call katna chaha .
“Hello sehar “
Aur is awaz pe vo ruk gyi.
Ise mera number kese mila ,”Sehar me rahila ” dusri taarf se aawaz aayi.
“Sehar me rahila ” dusri taarf se aawaz aayi.
“Kyun call kiya he mujhe , aur tum logo ko mera number mil kese jata he “.usne gusse kar bola.”
Mujhe to aunty ne diye magar aur kiski baat kar rhi ho “.(Haye allah usne ammi ko kuch kyun nhi bataya tha).Vo soch ke reh gyi.
“Aur kon ho sakta he tera partner the great danial mirza”.
“Vo mera koi partner vartner nhi he aur mene tujhe bataya tha na ki mere bhai ki vajah se mene ye sab kiya tha “usne safayi deni chahi.”
“Bas karde mujhe kuch aur nhi sunna tune apne bhai ke kehne pe kiya ho ya kisi aur ke, mujhe fark nhi padhta lekin rahila mujhe laga tha tu guilty hogi magar tu nhi badli tunee bohot galat kiya , teri pichli galtiyon ko to me maaf kardeti agar tu maafi mangti, magar ab jo tune kiya hena vo me kabhi maaf nhi kar skati.”
“Mene… mene kuch nhi kiya sehar us din ke baad se mene danial se baat bhi nhi kii tu kya baat kar rhi he “. Usne jese shock se pucha.
“Accha to tune vo video saniya ko nhi bheji thi , dekh jhuth mat bol me sab janti hu ye sab tune hi kiya he “.
“Konsi video . Bhaii mene koi video nhi bhejii , kis video ki baat kar rhi he”.
“Usi raat ki video jab danial mujhe propose karne mere ghar ke bahar aaya tha, ab ye mat bolna ki tu nhi janti ,kyunki tune khud kaha tha kii tu us bare me janti he “.
“Hn sehar mujhe pta tha kyunki danial mere bhai ko bta rha tha lekin mere pass vo video nhi he me to janti bhi nhi ki koi video bhi he . “
” sehar meri baat sun” lekin call kat chuka tha.
Sehar ab confuse thi, shock thi “Agar vo video rahila ne nhi bheji to saniya ke pass video kese aayi, kya danial saniya ko janta he , hn lekin ye bhi to ho sakta he colony ke kisi aur shaqs ne video banayi ho aur saniya ko bhej di ho, hn yhi hua hoga.” Usne khud ko tasalli di.
Raat ke 9 baj rhe the sehar fatima begum ke kamre me unki god me sir rakhe leti thi.
“Nanu insan galti kyun karta he ” sehar ke sawal pe fatima begum ka uske balo me chlta haath ek pal ko ruka magar fir unhone jawab diya.
” kyunki insan farishta nhi hota ,”
” beta Allah ne humein farishta nahi banaya, kyunki farishte kabhi galti nahi karte. Unhe toh sirf hukm maana aata hai. Lekin insaan… use toh Allah ne dil diya, akal di, choice di — taake wo khud raasta chune.”
“Nani to kya har insan galti karta he ?”usne fir se sawal kiya .
Hn beta hamare pyare nabi farmate he”Har insaan galti karta hai… lekin Allah ke nazdeek behtareen wahi hai jo apni galti ko maane, us par nadamat ho, aur phir use laut aaye.”
“Tujhe pata hai, Sehar… Hazrat Adam (A.S.) ne bhi galti ki thi.”
“Unhone Allah ka hukm toda tha — jannat mein uss darakht ka phal kha liya tha jise chhoone se mana kiya gaya tha. Lekin jaise hi unhone apni galti mehsoos ki… unka pehla amal yeh tha ke unhone tauba ki. Dil se. Ro ro ke.
“Aur pta he Allah ne unki tauba qubool kar li. Wohi Allah… aaj bhi wahi hai, Sehar.”
“To galti karne wala bura nhi hota ?”abke vo uth bethi thi.
“Nahi beta… galti karna insaan ko bura nahi banata.”
“Bure toh tab bante hain… jab apni galti ko galti na maane, us par zidd karein, ya kisi aur ko uska dard de dein.”
“Agar galti pe sharminda ho jaaye, toh wo insaan Allah ke bohot qareeb ho jaata hai.”
“Hazrat Yunus (A.S.) bhi ek baar apni qaum ko gusse mein chhod ke chale gaye the…lekin unhone andhere mein, machhli ke pait mein, ro ro ke Allah se maafi maangi —aur Allah ne unhe izzat se wapas bheja.”
“Galti karne wala bura nahi… use galti na manna wala hota hai.”Use rahila yaad ayi thi.
” Nanu, fir log galti pe maaf kyun nahi karte? “Abke uski ankhon me dard tha.
“Beta… kyunki log Allah nahi hote.”
“Allah to sattar maaon se zyada raheem hai — wo chhupata bhi hai, maaf bhi karta hai.”
“Lekin insaan… wo yaad rakhta hai, taana deta hai, dil mein baat bitha leta hai.”
“Kuch log maaf karne se zyada badla lena pasand karte hain. Kyunki wo khud kabhi kisi se maaf nahi hoa hota.”
“Lekin yaad rakh… jise Allah se maafi mil gayi, use logon ki narazgi ka darr nahi rehna chahiye.”
“Nani kya allah mujhe bhi maaf kardenge?” Abke uski ankhon me ansun the.
Unhone uska sir apne haathon mein liya, muskurai aur dheemi awaaz mein boli:
“Beta, bilkul. Allah to sabse zyada raheem hai. Agar tu dil se tauba karegi, apni galti maanegi aur sudharne ki koshish karegi… toh Allah zaroor tujhe maaf karenge.”
“Yaad rakh, beta… Allah kabhi apne bande ko uske saath nafrat karne ke liye nahi bhejta. Wo sirf seekh aur rehmat deta he “.
“Mujhe nhi pta sehar tujhse kya galti hui he ki tere baba tujhse naraz he , jo tu unhe roj manati he uske baad bhi vo nhi mante . Lekin kya tune allah ko ek baar bhi manane ki koshish ki ?”
Usne nafi me ser hilaya. ( vo puchna chahti thi unhe kese pta jabki vo to unke aage ghr baat bhi nhi karti thi kher vo uski maa ki maa thi).
“Beta usse mafi mang uski mafi milgyi to sab ki mil jayegi aur nhi bhi mili to bhi tujhe fark nhi padega.”
” accha chal ab soja”.
“Me yhi sojaun aapke pass” aur fir vo vhin sogyi, aaj use todha sakun mila tha.
” Lekin use nhi pta tha ye sakun uski zindagi me jyada din ka nhi tha.
To be continue.

1 Comment
Aww hida kitni cutee ha jb wo kehti ha aphi hugi 🙂 meri api nhi ha asi 🤌🏻