Sehar e Roshni (episode 10)
written by sirraha…
Sehar apni jagah but bani khadi thi use samjh hi nhi aarha tha vo kya kare uske jism me jese khoon hi na ho lekin samne khade zahid sahab ki ankhen lal thi , jese sara khoon unhi me basa ho.
“Pa..pa” sehar halki aawaz me boli.
‘Ye kya hogya thaa ‘ uske zehan me bas yhi baat thi . Usne apne baap ko itne dino baad dekha tha vo unke gale lagna chahti thi magar unke bich bohot fasle the. Bohot jayda .
Zahid ab vhan se jane ko mude the , sehar unhe rokna chati thi magar nhi rok sakti thi. Usne piche mud ke danial ko dekha jo ab bhi use hi dekh raha tha.
“Jao jaoo kahi gusse me suicide wagera na karle” danial muskurate hue bolrha tha.Sehar ka jee cah rha tha ki uska muh nochle magar vo vahn se bina kuch kahe bhagti huii uske papa ke piche jane lagi…
Piche danial ab bhi muskura rha tha…Uske zehan me kuch chal rha tha kuch khatarnak.
Ghar me aate hii zahid sahab ne sofe pe rakha apna bag uthaya magar isse pehke ki vo mudte kisine unka hath pakd liya.
“Papa plss …. meri baat to sunee , papa esa kuch nhiii he jesa aap soch rhe ho… papa meri baat to suno ” sehar rote hue unse minnat kar rahi thi.
“Chodho mera hath aur mene kaha tha na mujhe apna baap bulana band karo, nahi ho tum meri beti , mujhe us din se nafrat hogyi he jis din tum meri jindagi me aayi thi , nafrat he mujhe tumse. ” unhone nafrat se bola , vhan sab tha magar pyar ya narmi nhi.
Sehar ko kuch yad aya , koi khubsurat maazi .
(Kuch saal pehle )
‘Papa aap sab se jyada khush kab hue the ‘ 9 saal ki sehar apne baap se puch rhi thi.
“Jab meri jindagi me tum aayi thi , us din me duniya ka sabse khushnaseeb aadmi tha.”
“Kya waqai “. Usne masumi se pucha.
“Hn beta us din tumhare papa ko kuch aur dikh hi nhi rha tha,tumhe god me lene ke baad inhone kisi ko tumhe haath tak nhi lagane diya,
puri puri raat tumhe leke bethe rehte , sehar kabhi tumhe lage na ki koi tumse mohabbat nhi karta to ik baar apne baap ko dekhlena”. Zahira begum ne jawab diya.
(Aaj)
Sehar apni soch se bahar jab aayi jab use gate band hone ki jordar aawaz aayi. Vo jaa chuke the , vo uski jindagi se jaa chuke the , aur shayd ab vo kabhi nhi aane wale the.Sehar wahi farsh pe ghutno ke bal beth gyi.
“Sehar tumhare papa kaha gye.”Kitchen se aati fatima begum ne use piche se pukara.
Magar use koi aawaz nhi aarhi thi , vo sun se vhi bethi rhi.
” sehar kya hua beta… bta na kya hua sehar” fatima use is kadr betha dekh pareshan hui thi.
Aur tabhi sehar ki ankhon ke samne andhera chaa gya .
Uski aankh khuli to usne khud ko apne kamre me paya.
Na smajhi se jab usne apne aas pass dekha to paya ki room me ek doctor the jo fatima ko kuch bta rhe the lekin uski nazar vhan nhi thi uski nazre to us ek shaqs pe jam gyi thi, jo kone me rakhe sofe pe bethe the.
“Theek he ye dawaiyan he , aap wakt pe dete rehna aur darne ki baat nhi he bas todha dhyan rahe ki ab inhe tension na di jaye chale ab me chalta hu” doctor ye keh kar uthe the.
“Chale doctor me aapko chodh ke aata hu” zahid sahab bolte hue uthe.Ab kamre me sirf fatima aur sehar thi ,
“Sehar beta tu theek he ” sehar ko jaga hua paya dekh fatima begum ne fikrmandi se pucha .
“Jii nani” usne halki aawaz me bola.
“Dekh sab theek ho jaega, allah pe yakeen rakh .
” Unhone use dilasa diya.”
Nahi nanuuu… ab kuch theek nhi hoga..ab kuch theek nhi hoga.. me..me apne baap ko kho chuki hu , nanuu meri kya galti thi..nanu mere sath hi esa kyun hua “. Vo ro rhi thi , vo shikwe kar rahi thi .
“Beta mujhe nhi pta kya galti hui he tujhse , lekin tu dil chota na kar dekhna allah sab theek karenge”.
Vo uske ser pe haath ferte hue boli. Fatima sehar ke bagal me akar beth ti he aur uska ser apni god me rakh leti he vo abhi bhi uske baal sehla rhi thi. Kuch der tak khamoshi rhi fir sehar ne bolna shuru kiya.
“Nani aapko pta he me apne papa se bohot mohabbat karti hu, Me unke bina jina nhi sikhi, unki narazgi mere liye nayi he nanu…..vo kabhi mujhse naraz nhi hue aur itne dino ke liye to kabhi nhi , vo meri sari galtiyan maf kardete the..vo mujhe hamesha mummy ki dant se bacha lete the .
“Vo kahe ja rhi thi aur uski nani bas sune jaa rhi thi.
” vo mere bina kabhi nhi rhe , vo mujhe kabhi khud se dur nhi jane dete the aapko yaad he me aapke ghar 2 din se jyada kyun nhi rukti thi kyunki mere papa ghar pe mera intezar kar rhe hote the, aur dekho aaj mere papa ne mujhe khud aapke pass bheja he aur ab mera vhan jane ka man bhi nhi kyunki ab vhan mere papa mera intezar nhi kar rahe.”
Usne zakhmi se andaz me hanste hue bola.
“Nanu mene galti ki he me unse mafi mangna chahti hu, nanu aap papa se kahe na mujhse baat kare , me mar jaungi nanu me mar jaungi.” Ab vo tez tez rone lagi thi.Fatima begum ki ankhon me aansun the aur darwaze ke paar khade us shqs ki ankhon me bhi.
Naa jane uski ek galti ne kitno ka dil toda tha.Aur uski vo galti thi ….mohabbat karna , eitbar karna jiski vajah se ab uske apno ne usse mohabbat karna chodh diya tha uspe eitbar karna band kardiya tha.Kisi ne shi hi kaha he
“Ladkiyon ki kacchi umar ki galtiya bade azab lekar aati he”.
To be continue
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Ut elit tellus, luctus nec ullamcorper mattis, pulvinar dapibus leo.
