Sehar e Roshni (episode 4)
written by sirrah….
Farewell wale waqiye ko aaj do din ho gye the , in do din ke liye unhe preparation leave mili thi aur kal se unka exam start he.
Abhi usne bell bajaye hi thi ki 3sri bell pe kisine darwaza khola. Ye ek aurat thi sehar ko dekhte hi unke chare pe muskurahat phel gyi.
“Assalamualikum aunty” sehar boli,” waaalaikum assalam sehar beta aaj bohot dino baad” vo aurat boli.
“Jii aunty vo wakt hi nhi mila kher rahila kaha he ” usne jawab dete hue unse pucha .
“Beta rahila to apne room me he tum upar chali jao me abhi tumhare liye kuch laati hu” rahila ki ammi boli.”Jii aunty ” vo kehte hue upar jane lagi.Uske knock karne pe rahila ne gate khola use dekhke vo shock hui magar fir muskura uthi.
“Seharr tum yhan kese” rahila boli.”Kyun me nhi aa sakti aur ye pehli baar to nhi he ki me aarhi hu ” sehar ne normel andaz me bola.
“Are nhi nhi aaja chal andar vese bhi farewell ke baad tujhse milna nhi huaa”.”Hm accha rahila ek baat bata.”sehar ne pucha.
“Hn puch na kya hoa” rahila ne usi taarh muskurate hue pucha. Halanki abke andaz me kuch tha shayd koi khof.
Isse pehle ki sehar kuch puch patti darwaze se rahila ki ammi andar aate hue dikhi unke haath me do Maggie ki plates thi aur saath hi juice tha.”Ye lo pehle ye khalo fir baate karna ” unhone kaha .
“Thanks aunty .” Aunty pls ye gate band kardena hame pdhai karni he to disturb na ho isliye ” vo boli to rahila ki ammi hn me ser hilati gate band karke chali gyi. “Accha rahila khao warna Maggie thandi ho jaegi aur fir tum janti ho thandi Maggie acchi nhi lagti” sehar ne rahila se kaha .
Abhi dono maggie kha rhe the tabhi sehar boli
“Rahila mujhe konsi bimari he ” uska andaz sakht tha .
Rahila ka muh tak jaata haath ruk gya usne pehle sehar ko dekha fir boli.”Claustrophobia ” . Rahila ne normel hone ke andaz me kaha.
“Tum janti ho Claustrophobia kya hota he ” hn tum jyada der tak locked rooms me nhi reh sakti tum panic ho jati ho .””Hn tumhe pta he jis din tumne mujhe apna lunch box class me lene bheja tha na us din mujhe maria ne room me lock kar diya tha aur pta he vo mujhse kehti ki apne Claustrophobia ke sath enjoy karo.
Rahila abhi tak usi tarah bethi thi lekin sehar vo aram se maggie kha rhi thi jese vo koi drama ki story bta rhi ho.”Kya tumhe waqai maria ne room me lock kar diya tha ” abke rahila shock se boli. ” yAar sorry mujhe nhi pta tha esa ho jaega warna me tujhe kabhi akele nhi bhejti ” rahila ne sharmindagi se bola.
“Are nhi chodh is baat ko tu meri baat sun maja aaega” sehar muskurate hue kehti he.
Fir pta he mene socha ki yr mene to kabhi kisiko btaya hi nhii mere Claustrophobia ke baare me inhe kese pta laga . Fir mujhe yaad aaya ki mene to tujhe bata rakha tha. Aur tu dekh yrr matlab mere dushmano ke haath meri kamzori lag gyi..
Rahila ab kuch bolne jaarhi thi magar tabhi sehar ne use rokte hue kaha “fir tujhe pta he 1 ghante baad kisi ne gate kholdiya , me uthi room ke bahar aayi lekin fir me wapas gyi aur tera lunch box lekar gyii.
Fir mene gaurd se pucha ki rahila kaha he to unhone kaha ki vo to ghar chali gyi.”
“Hn me ghar aagyii thi na ” rahila boli.”Are mje ki baat to sun , me ek ghante school me rhi akelii aur jab nikli to dekha ki gaurd to vhan he hamare school me sirf gaurd uncle hi hote he fir gate kisne khola , aur usse bhi maje ki baat ki gaurd uncle ne ek baar bhi mujhse nhi pucha ki me kaha thi , is it not interesting. Unhe mujhe dekhkar koi shock nhi laga jese vo pehle hi jante ho ki me vhan hu ,ab ese me mein sochti ki shyd maria wagera ne ye sab kiya hoga, agar me ye nhi dekhti ” usne apne bag se kuch nikala aur use rahila ko dikhaya . Rahila ki upar to jese kisi ne thanda pani fenk diya ho.
“Yeh.. yehh ” rahila ba mushkil bol payi.”Hn esa same mere pass bhi he dekh yaad he mene ye apni first friend ship anniversary pe diya tha”.
Aurr to aur pta he farwell wale din me ghar late pohchi thi mujhe laga meri family mujhe dhundh rhi hogi lekin ghar jake dekha to vo sare aaram se bethe baate karr rhe the aur karte bhi kyun na unhe kisi ne kaha ki me rahila ke saath hu. Hena kitni funny baat.” Sehar hanste hanste boli jese koi joke suna rhi ho.
“Mujhe kuch nhi pta sehar mujhe to pta bhi nhi tha ki tu daniyal ke saath he , aur vo ye sab karega”.
“Mene to tujhe bataya hi nhi ki me us din kiske saath thi aur kisne mere saath kiya kiya tha. Aur abhi to ham school bhi nhi gye fir tujhe jese pta. Sehar ne shak ki nigaho se use dekha.
“Mei… ” abke rahila kuch bol nhi saki.”Kyun kiya tune ye sab rahila kyunn ” ab vo serious thi , itni serious ke rahila ko uska chera dekhke khof aane laga.”Me… meine kuch nhi kiya , sach me mene kuch nhi kiya ” rahila kanpti aawaz me boli.
“Tujhe sharam nhi aayi rahila , 8 saal 8 saal ki dosti thi hamari tune 8 din bhi nhi lagaye tune kyun kiya ye sab, me tujpe yakeen karti rahila balki me tujhpe yakeen kar rahi thi magar tune galti nhi gunah kiya he rahila . Mene tere siwa koi dusra dost nhi banaya , mene teri vajah se maria se ladai ki , mene hamesha tera saath diya aur tune …. uski aawaz tuti thi, tune mujhe dhoka diya rahila tune mujhe dhoka diya , tu jhooti dhokebaaz he , tu farebkar he rahila allah tujhe maaf nhi karega, tu sab janti thi tu shuru se sab janti thi tu daniyal aur raheel ke sath mili hui thi tu har chiz janti thi tune jaan puch ke mujhe us din class me akele bheja , jab raheel ne us ladke ko mujhe bulane bheja tu jab bhi mere sath nhi gyi , rahila me kese manu tu in sab me nhi thi kese manu kyunki musibat ke waqt tu kabhi mere sath nhi hoti , tu mere saath hamesha har jaagh jaati he fir usi waqt tu mere sath jaane se kyun mana kardeti he jab me musibat me padne wali hoti hu, tune rahila mujhe musibat me chodha farewell wale din tune mere gahrwalo ko 5 bje call kiya ki me tere sath hu agar tu 4 bje se pehle karti me smajhti rahila 5 bje me un do darindo ke bich thi tune mere gharwalo se jhuth bola me kese yakeen karu tujhpe rahila agar us din mujhe kuch ho jataa agar vo dono kuch kar bethte agar shi wakt pe principal sir nhi aate to kya hota mera. ” ab ke vo todhi der pehle wali sehar nhi thi ab ye koi aur thi , vo ro rhi thi chikh rhi thi gussa kar rhi thi.
“Hn hn hn janti thi me sab , janti thi . Shuru se sab pta tha mujhe , daniyal ka tujhe park me milna uska tere gahr ke bahar raat me aana , sab janti thi me mujhe pta tha vo ladka tujhe kyun bulane aaya he , danial ne tujhe farewell wale din room me kyun bulayaa , sab janti thi me , hn tujhe mene jaanbojh kar bheja tha room me , me unke plan se waqif thi sehar me sab janti thi mene galat kiya lekin mene tujhe bachaya he sehar mene tujhe bachaya he , daniyal mere bhai ka bestfriend he mujhe ye kaam karna pada agar me na karti to koi aur karta aur tu aaj yhan khadi nhi hoti sehar tu aaj yhan nhi hoti” abke uski saans pholi thi “mene tujhe us din akele jaane diya me janti thi upar raheel he lekin mene sehar mene “usne apne seene pe ungli kii” daniyal ko tujhe bachane bheja hn vo tujhe bachane aata ye unke plan me tha lekin jab aata jab raheel tere sath kuch kar chuka hota , jyada nhi to tere kapde to vo fadh hi chuka hota lekin mene daniyal se minnat ki use bhejaa mene tere liye sehar hamari dosti ke liye, hn mene bataya tha maria ko tere Claustrophobia ke bare me mein ne jaanbhuj ke bheja tha tujhe us din room me lekin us din gate bhi mene khola tha tere liye , me bhi ghar nhi gyi thi me vhi thi mujhe nhi pta andar maria ne tujhse kya baat ki lekin mene unke plan ke khilaf jake tere liye gate khola warna agle din tak tu vhan ked rehti sehar, me janti thi tu ek ghante se jyada nhi reh sakti tere pass pani nhi bachega tujhe pta he chutti me bhi teri bottle mene bhari thi taki tu 1 ghanta nikal le , hn mene guard se kaha tha ki tujhe khe me chali gyii lekin me vhi thi sehar me tere saath tere piche piche aayi thi mene tujhe akele nhi aane diya.Hn me janti thi farewell wale din vo tere sath kya karenge lekin sehar mene us din bhi unka plan kharab kiya , unke plan ke mutabiq school me sirf tum teen log the nhi sehar vhan 5 log the . Vo dono tere sath tujhe andaza bhi nhi he ki kya karte vo tujhse badla lete sehar badla us beizzati ka jo raheel ne jheli. Magar mene sehar teri 8 saal purani dost ne principal ko bula liya , shi wakt pe unhone tujhe bacha liya tujhe ye laga na sehar nhi tujhe mene bachaya tha sehar . Hn mene ki thi tere gharwalo ko call kyunki rahila janti thi sehar ko bachane ke liye vo kafi he , hn mene tujhe musibat me jane se nhi roka lekin kya me tujhe khinch ke nhi laayi aur tune sehar mujhe daniyal ke baare me kuch nhi bataya sehar tune kuch nhi bataya tune mera eitbar nhi kiya fir meri kya galti . Hn mene galti ki lekin mene tujhe bachaya he tu meri galti dekh rhi he mera ehsann manne ki jagah.
Ab ke rahila rote rote gir gyi thi.”Hn rahila tune meri madad ki ” sehar bhi ab uske samne ghutno ke bal beth gyi ” tune meri madad ki magar mere liye yaa hamaarii dosti ke liye nhi apne liye , apne aapko justify karne ke liye, tujhe pta he gunah karne se bada gunhagar kon hota he jo apne gunah ko ‘justification’ de. Tune ye sab isiliye kiya taki tu har chiz ko justify kar sake jese abhi kar rhi he . Tu chahti to mujhe sab bta sakti thi , tu mujhe daniyal ki chaal me nhi aane deti mujhe koi hint deti magar nhii tune esa nhi kiya, tune meri madad ki magar kab jab me adhi tut chuki thi us waqt , hn mujhe tera ehsan mand hona chaiye lekin kya me vo nhi hu jisne hamesha tera saath diya , tujhe support kiya,tu kehti he vo tere bhai ka bestfriend he kya me teri bestfriend nhi thin. Kya meri dosti itni sasti thi jo tunhe uski itni si kimat lagadi . Tune galti nhi gunah kiya he aur iske liye allah tujhe kabhi maaf nhi karega, rahila meri baddua he tujhe ki tu ese hi tute jese me tuti hu , tu ese hi roye jese me royi hu, tu guilty nhi he tere kuch bhi karne pe ,tu mujhse maafi mangti to me maaf karti magar tu apne gunah ko justify kar rhi he rahila , aur iski koi maafi nhi hoti aur hn shayd tu bhul gyi he me sehar huu me roti nhi rula deti hu, mere dil se jo ek baar utar jaye fir vo jiye ya mare mujhe fark nhi padta , ye mat bhulna ki me vhi sehar hu jisne raheel jese harasser ko jisse teachers tak khof khate the use mene suspend karwaya tha , kya tu bhul gyi ek baar 6th class me ek ladki ne meri favorite pencil tod di thi fir uske baad mene uska kya hashar kiya tha yaad he , usne bhi maafi nhi mangi thi.”
Aur ye kehke vo uth gyi apna bag uthaya aur darwaze ki tarf badi , ek pal ko vo ruki is ummid me ki piche se uski aawaz aayegi , vo rokegi maafi mangegi magar awaz nhi aayi .
Vo kab uske ghar se nikli kab apne ghar aayi raste me kisne kya khaa kuch nhi pta bas apne kamre me aayi aur bass uske sabr ki had hogyi thi. Ansun uski aankho se behne lage , Dhoka , fareb kya kuch nhi hua uske saath.daniyal se usne mohabbat ki thi usne ye rahila ko nhi bataya lekin danial ka dhoka use mar gya, hn use danial se mohabbat thi use to ab pta laga , ab vo kya karegi. Tabhi piche se aawaz aayi “- appi aap aagaye chalo mumma niche bula rhi he papa ice cream lekar aaye he ” usne sehar ko nhi dkeha tha aur fir vo chali gyi .
Sehar ke Aansun tham gye uske pass uski family thi hn usne aur kya chaiye tha vese bhi school walon ka kya aaj he to kal nhii. Usne apne aansun poche muh dhoya aur ek muskan ke sath niche chali gyi. Niche uski family bethi thi, vo apne papa ke bagal me sofe pe beth gyi , zahid sahab ne use dekh kar uske sar pe haath fera, unhe apni beti pe bohot naaz tha , ho bhi kyun na khandan me ek bhi ladki sehar ke level ki nhi thi.
“Meri betii duniya ki sabse acchi beti he ” unhone kaha .
“To kya me sabse buri hu “, muh fulati hui lal galo wali hida boli.
“Are meriiii hiduu to sabse pyari beti he ” . Jara si bhi meri tareef hazam nhi hoti is choti billi ko.
Aur us baat pe sab hanse the , sehar ne un sab ko dekhke socha , “ye hena mera sakoon mujhe inke sath ke siwa kisi ki jarurat nhi , me janti hu sari duniya bhi mere against ho jaye tab bhi mere maa baap hamesha mere sath honge”.
Lekin kya waqai esa hi tha.
To be continue.
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Ut elit tellus, luctus nec ullamcorper mattis, pulvinar dapibus leo.
